Sayings of Imam Mola Ali

Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

The Sayings of Imam Mola Ali and quotes of Hazrat Ali are known to offer some of the best life advice. They serve as a source of motivation to never give up and to continue striving towards your goals, as success may be just around the corner.

Hazrat Ali (R.A) Quotes in Urdu played a significant role in the spread of Islam. Hazrat Ali, also known as Ali bin Abi Talib and Abi Talib (PBUH), was renowned for his knowledge and teachings, making him one of the most influential figures in Islamic history.

Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Sabr Ki Do Suratein Hain

Jo Napasand Ho Usy Bardasht Krna

Aur Jo Pasand Ho Us Ka Intezaar Krna

حضرت علیؓ نے فرمایا

صبر کی دو صورتیں ہیں

جو نا پسند ہو اسے برداشت کرنا

اور جو پسند ہو اس کا انتظار کرنا


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Insaniyat Bhut Bara Khazana Hai

Usy Libaas Mei Nahi

Insaan Mei Talaash Kro

حضرت علیؓ نے فرمایا

انسانیت بہت بڑا خزانہ ہے

اسے لباس میں نہیں

انسان میں تلاش کرو


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Jo Zulm K Zariye Izzat Chahta Hai

Allah Usy Insaaf K Zariye Zaleel Krta Hai.

حضرت علیؓ نے فرمایا

جو ظلم کے ذریعے عزت چاہتا ہے

اللہ اسے انصاف کے ذریعے ذلیل کرتا ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Logon Se Yaad Krne Ka Shikwa Mat Kro

Kiun K Jo Insaan Apne Rab Ko Bhool Sakta Hai

Wo Sab Ko Bhool Sakta Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

لوگوں سے یاد کرنے کا شکوہ مت کرو

کیونکہ جو انسان اپنے رب کو بھول سکتا ہے

وہ سب کو بھول سکتا ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Jo Admi Dusre Logon K Aaib

Ki Talaash Mei Rehta Hai Allah Ta’la

Us K Aeb Zaahir Krdeta Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

جو آدمی دوسرے لوگوں کے عیب

کی تلاش میں رہتا ہے اللہ تعالی

اس کے عیب ظاہر کر دیتا ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Qareebi Rishtedaaron Ki Adawat

Bichuon K Dashne Se Zyada Dard Pohnchaate Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

قریبی رشتہ داروں کی عداوت

بچھوؤں کے ڈسنے سے زیادہ درد پہنچاتی ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Jab Aanken Nafs Ki Pasandeeda Cheezen Dekhne Lagen

Tou Dil Anjaam Se Andha Ho Jaata Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

جب آنکھیں نفس کی پسندیدہ چیزیں دیکھنے لگیں

تو دل انجام سے اندھا ہو جاتا ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Jab Kisi Shakhs Ki Aqal Kaamil Ho Jati Hai

T0 Eski Guftugu Main Kami Ajati Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

جب کسی شخص کی عقل کامل ہو جاتی ہے

تو اس کی گفتگو میں کمی آجاتی ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Masaaib Ka Muqaabla Sabr Se Aur

Naimaton Ki Hifazat Shukar Se Kro

حضرت علیؓ نے فرمایا

مصائب کا مقابلہ صبر سے اور

نعمتوں کی حفاظت شکر سے کرو


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Sab Se Pheli Ibadat Ye Hai K Insaan

Museebat Mei Sabr Kr K Allah Ta’la Ki

Taraf Se Madad Ka Muntazir Rahe

حضرت علیؓ نے فرمایا

سب سے پہلی عبادت یہ ہے کہ انسان

مصیبت میں صبر کر کے اللہ تعالی کی

طرف سے مدد کا منتظر ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Zyada Mazaaq Krne Se

Admi Ki Izzat Chali Jaate Hai Aur

Logon Se Dushmani Paida Hojate Hai

حضرت علیؓ نے فرمایا

زیادہ مذاق کرنے سے

آدمی کی عزت چلی جاتی ہے اور

لوگوں سے دشمنی پیدا ہو جاتی ہے


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

عقل مند وہ ہے جو اپنی زبان کو غیبت سے بچائے

اور مومن وہ جس کا دل شک سے پاک ہو

Aqalmand Wo Hai Jo Apni Zaban Ko Geebat Se Bachaaye

Aur Momin Wo Jis Ka Dil Shak Se Pak Ho


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

جب تمہارے دل میں کسی کے لیے

نفرت پیدا ہونے لگے تو فوراً اس کی

اچھائیوں کو یاد کرنے لگو

Jab Tumhare Dil Mei Kisi K Liye

Nafrat Paida Hone Lage Tou Foran Us Ki

Achaaiyo Ko Yaad Krne Lago


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

جو آدمی غفلت میں رہتا ہے وہ جہالت

میں پڑا رہتا ہے اور جو جہالت میں

پڑا رہتا ہے وہ بےکار رہتا ہے

Jo Admi Ghaflat Mei Rehta Hai Wo Jhaalat

Mei Para Rehta Hai Aur Jo Jhaalat Mei

Para Rehta Hai Wo Bekaar Rehta Hai


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

اخلاق وہ چیز ہے جس کی قیمت کچھ نہیں دینی پڑتی

ہاں مگر اس سے ہر انسان خریدا جا سکتا ہے

Ikhlaaq Wo Cheez Hai Jis Ki Qeemat Kuch Nhe Deni Parte

Haan Mgar Us Se Har Insaan Khareeda Jaa Sakta Hai


Imam Ali Quotes in Roman Urdu One Line

Insaan Apni Touheen Maaf To Kar Sakta Hai Par Bhool Nahi Sakta.

Insan Ka Fuzool Shauq Me Waqt Kho Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ki ALLAH Us Se Naraz Hai.

Agar Tum Pahaad Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye.

Gareeb Ki Madad Karo, Uska Dil Na Dukhao, Aur Uska Ehsas Karo. Kyu K Ghareeb Hone Mein Zyada Waqt Nai Lagta ..!

Kisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho, Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Me Ghuroor Ka Beej Bo De.

Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.

Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao..

Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.

Apne Din Ka Aaghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Radd Nahi Ki Jayegi Aur Acchi Baat Batana Bhi Sadqa Hai.

Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

حضرت علیؓ نے فرمایا

جو آدمی صبر اختیار کرتا ہے

وہ کامیابی پاتا ہے جو جلد بازی

کرتا ہے وہ ٹھوکر کھاتا ہے

Jo Admi Sabr Ikhtiyar Krta Hai

Wo Kamyaabi Paata Hai Jo Jaldbazi

Krta Hai Wo Thokar Khaata Hai


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

حضرت علیؓ نے فرمایا

کوئی تم سے بھلائی کی امید رکھے تو اسے مایوس مت کرو

کیونکہ لوگوں کی ضروریات کا تم سے وابستہ ہونا تم پر الله کی عنایت ہے

Koi Tum Say Bhalae Ki Omeed Rakhey To Isay Mayoos Mat Karo

Q K Loogon Ki Zroreyat Ka Tum Say Wabsta Hona

Tum Par Allah Ki Enayat Hai


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

حضرت علیؓ نے فرمایا

ہمیشہ سچ بولو تاکہ تمہیں کبھی قسم کھانے کی ضرورت نہ پڑے۔

Hamisha Sach Bolo Ta K Tumhey Qasam Khaney Ki Zarorat Na Parey


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

حضرت علیؓ نے فرمایا

پریشانی میں مذاق اور خوشی میں طعنہ مت دو

کیونکہ اس سے رشتوں میں موجود محبت ختم ہو جاتی ہے۔

Pareshani Mein Mazak Or Khushi Mein Tana Na Do

Q K Is Say Rishtey Mein Majood Mohabbet Khatem Ho Jatte Haoi


Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

حضرت علیؓ نے فرمایا

تم “جنت” نہ مانگو

بلکہ تم دنیا میں ایسے کام کرو کہ“جنت”تم کومانگے۔

Tum Janat Na Mango

Balkey Tum Duniya Mein Ase Kam Kro K Janat Tm Ko Mangey


Hazrat Ali Aqwal E Zareen About Life

Sayings of Imam Mola Ali In Urdu

Insan Daulat Kamaney Ke Liye Apni Sehat Khoo Deta Hai.

Phir Sehat Ko Wapis Pane Ke Liye Apni Daulat Khota Hai.

Mustaqbil Ko Soch Kar Apna Haal Zaya Karta Hai,

Phir Mustaqbil Me Apna Maazi Yaad Karke Rota Hai.

Jeeta Aise Hai Jaise Kabhi Marega Hi Nahi,

Aur Marr Aise Jata Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi.

Aqwal E Zareen In Urdu

انسان دولت کمانے کے لیے اپنی صحت کھو دیتا ہے۔

پھر صحت کو واپس پانےے کے لیے اپنی دولت کھوتا ہے۔

مستقبل کو سوچ کر اپنا حال زیا کرتا ہے،

پھر مستقبل میں اپنا مازی یاد کرکے روتا ہے۔

جیتا ایسے ہے جیسے کبھی مرےگا ہی نہیں،

اور مر ایسی جاتا ہے جیسے کبھی جیا ہی نہیں


Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *